adaaon ka teri sitam kam nahin hai
magar in adaaon mein vo dam nahin hai
koii kah raha kuchh to chupchaap sun lo
jahaan mein kisi se koii kam nahin hai
mujhe bread khaane kii kya hai zaroorat
tumhaara badan bread se kam nahin hai
ye baarish se maara gaya ab ki gehuun
magar dekh lo iski dar kam nahin hai
tumhein maa ke charnon mein sab kuchh milega
muhammad ke dar se ye dar kam nahin hai
jidhar dekh len ho hi jaaye qayamat
idhar bhi kisi kii nazar kam nahin hai
अदाओं का तेरी सितम कम नहीं है
मगर इन अदाओं में वो दम नहीं है
कोई कह रहा कुछ तो चुपचाप सुन लो
जहां में किसी से कोई कम नहीं है
मुझे ब्रेड खाने की क्या है ज़रूरत
तुम्हारा बदन ब्रेड से कम नहीं है
ये बारिश से मारा गया अब कि गेहूँ
मगर देख लो इसकी दर कम नहीं है
तुम्हें माँ के चरणों में सब कुछ मिलेगा
मुहम्मद के दर से ये दर कम नहीं है
जिधर देख लें हो ही जाए क़यामत
इधर भी किसी की नज़र कम नहीं है
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari