ek hi naam ko bad-naam kiye jaate hain | एक ही नाम को बद-नाम किए जाते हैं - Prashant Kumar

ek hi naam ko bad-naam kiye jaate hain
ajnabi log hain har kaam kiye jaate hain

muddaton baad abhi raaz khula hai unka
phir bhi bad-naam sar-e-aam kiye jaate hain

kaam ke baad to aaraam sabhi karte hain
vo bina kaam se aaraam kiye jaate hain

husn waalon pe ghazal kaise kahoon bolo jab
mera har sher vo bad-naam kiye jaate hain

in ameeron se to koii nahin takraayega
sab ghareebon ko hi naakaam kiye jaate hain

एक ही नाम को बद-नाम किए जाते हैं
अजनबी लोग हैं हर काम किए जाते हैं

मुद्दतों बाद अभी राज़ खुला है उनका
फिर भी बद-नाम सर-ए-आम किए जाते हैं

काम के बाद तो आराम सभी करते हैं
वो बिना काम से आराम किए जाते हैं

हुस्न वालों पे ग़ज़ल कैसे कहूँ बोलो जब
मेरा हर शेर वो बद-नाम किए जाते हैं

इन अमीरों से तो कोई नहीं टकराएगा
सब ग़रीबों को ही नाकाम किए जाते हैं

- Prashant Kumar
0 Likes

Raaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Raaz Shayari Shayari