saj dhaj ke gai hogi sabhi dhaak mein honge
ye chaand sitaare to tiri taak mein honge
sone ke khazaane ki nire naak mein honge
gauhar to kahin husn kii poshaak mein honge
kyun yaktaa banaakar ke tujhe bheja zameen par
khaaliq to bahut sochte aflaak mein honge
deewaan are baantna mat cheez koii bhi
is hind ke kuchh log abhi paak mein honge
khaane mein khazaane mein are dhoondh unhin ko
ham log agar honge to khaashaak mein honge
khwaabon kii mohabbat hai ise bhool ja hamdam
jis roz jawaan hoga ham aflaak mein honge
सज धज के गई होगी सभी धाक में होंगे
ये चाँद सितारे तो तिरी ताक में होंगे
सोने के ख़ज़ाने कि निरे नाक में होंगे
गौहर तो कहीं हुस्न की पोशाक में होंगे
क्यूँ यकता बनाकर के तुझे भेजा ज़मीं पर
ख़ालिक़ तो बहुत सोचते अफ़्लाक में होंगे
दीवान अरे बाँटना मत चीज़ कोई भी
इस हिंद के कुछ लोग अभी पाक में होंगे
ख़ाने में ख़ज़ाने में अरे ढूँढ उन्हीं को
हम लोग अगर होंगे तो ख़ाशाक में होंगे
ख़्वाबों की मोहब्बत है इसे भूल जा हमदम
जिस रोज़ जवाँ होगा हम अफ़्लाक में होंगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading I love you Shayari Shayari