saamne aaine ke aa to zara
aankh se aankh phir mila to zara
kaun hoon jaanta nahin hai tu
jaan jaayega ghar bula to zara
saamne baith hi gaya hai jab
phir nazar se nazar mila to zara
ishq kya hai tujhe bata denge
pehle hamko wafa sikha to zara
ye qayamat hai kya dikha denge
pehle rukh se naqaab utha to zara
सामने आइने के आ तो ज़रा
आँख से आँख फिर मिला तो ज़रा
कौन हूँ जानता नहीं है तू
जान जाएगा घर बुला तो ज़रा
सामने बैठ ही गया है जब
फिर नज़र से नज़र मिला तो ज़रा
इश्क़ क्या है तुझे बता देंगे
पहले हमको वफ़ा सिखा तो ज़रा
ये क़यामत है क्या दिखा देंगे
पहले रुख़ से नक़ाब उठा तो ज़रा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Chehra Shayari Shayari