hamaari jaan hi leni thi zara sa muskuraa dete
nahin tha haath mein kuchh bhi to honton se saza dete
muhabbat thi to phir naql ae makaani karne se pehle
tum apne haath se likhkar hamein ghar ka pata dete
but ae kamsin hain koi vo agar pehle pata hota
to makhlook ae khuda unki parasti mein laga dete
jo tum hamdard itne the to qatl ae aam se pehle
hamein aanchal ya baahon mein kahi par bhi chhupa dete
agar itni khabar hoti ki aaoge akela tum
to khidmat mein tumhaari ham ye seem o zar luta dete
हमारी जाँ ही लेनी थी ज़रा सा मुस्कुरा देते
नहीं था हाथ में कुछ भी तो होंटों से सज़ा देते
मुहब्बत थी तो फिर नक़्ल ए मकानी करने से पहले
तुम अपने हाथ से लिखकर हमें घर का पता देते
बुत ए कमसिन हैं कोई वो अगर पहले पता होता
तो मख़्लूक ए ख़ुदा उनकी परस्ती में लगा देते
जो तुम हमदर्द इतने थे तो क़त्ल ए आम से पहले
हमें आँचल या बाहों में कहीं पर भी छुपा देते
अगर इतनी ख़बर होती कि आओगे अकेले तुम
तो ख़िदमत में तुम्हारी हम ये सीम ओ ज़र लुटा देते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Khuda Shayari Shayari