tumhaare baad duniya se mujhe bhi rooth jaana hai | तुम्हारे बाद दुनिया से मुझे भी रूठ जाना है

  - Prashant Kumar

tumhaare baad duniya se mujhe bhi rooth jaana hai
muhabbat ishq ka sangam kisi din toot jaana hai

mujhe kar to rahe ho qaid par meri qayamat se
tumhaare qaid-khaane ko buton sa toot jaana hai

fana hona usool-e-ishq hai hamdam muhabbat mein
tumhaare haath se ye haath ik din chhoot jaana hai

yahan tum bhi musaafir ho yahan main bhi musaafir hoon
tumhaara saath mera saath ik din chhoot jaana hai

muhabbat ishq ke nagme adhoore se hi rahte hain
tumhaara bhi fasana ab yahin par chhoot jaana hai

agar vo kaanch ka paikar hai bhi to kya hua bolo
kisi din daab mein aakar use bhi toot jaana hai

तुम्हारे बाद दुनिया से मुझे भी रूठ जाना है
मुहब्बत इश्क़ का संगम किसी दिन टूट जाना है

मुझे कर तो रहे हो क़ैद पर मेरी क़यामत से
तुम्हारे क़ैद-ख़ाने को बुतों सा टूट जाना है

फ़ना होना उसूल-ए-इश्क़ है हमदम मुहब्बत में
तुम्हारे हाथ से ये हाथ इक दिन छूट जाना है

यहाँ तुम भी मुसाफ़िर हो यहाँ मैं भी मुसाफ़िर हूँ
तुम्हारा साथ मेरा साथ इक दिन छूट जाना है

मुहब्बत इश्क़ के नग़्मे अधूरे से ही रहते हैं
तुम्हारा भी फ़साना अब यहीं पर छूट जाना है

अगर वो काँच का पैकर है भी तो क्या हुआ बोलो
किसी दिन दाब में आकर उसे भी टूट जाना है

  - Prashant Kumar

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari