jab unhen be-naqaab karte hain | जब उन्हें बे-नक़ाब करते हैं

  - Prashant Kumar

jab unhen be-naqaab karte hain
ishq ko kaamyaab karte hain

kar rahe sab gulaab ko kaante
ham to kaante gulaab karte hain

roz be-waqt ghar par aate hain
kaam mera kharab karte hain

kuchh nahin dekhte bada chhota
ab ke bacche jawaab karte hain

aaj ke log kuchh nahin karte
zindagi ko kharab karte hain

sach mein jo log kah nahin paate
pyaar vo be-hisaab karte hain

ham mohabbat bayaan nahin karte
haan magar be-hisaab karte hain

muskuraa ke meri taraf kuchh log
meri aadat kharab karte hain

vo zamaane ko saath laate hain
ham akela hisaab karte hain

mat bithaaya karo unhen ghar mein
vo qabeela kharab karte hain

जब उन्हें बे-नक़ाब करते हैं
इश्क़ को कामयाब करते हैं

कर रहे सब गुलाब को काँटे
हम तो काँटे गुलाब करते हैं

रोज़ बे-वक़्त घर पर आते हैं
काम मेरा ख़राब करते हैं

कुछ नहीं देखते बड़ा छोटा
अब के बच्चे जवाब करते हैं

आज के लोग कुछ नहीं करते
ज़िंदगी को ख़राब करते हैं

सच में जो लोग कह नहीं पाते
प्यार वो बे-हिसाब करते हैं

हम मोहब्बत बयाँ नहीं करते
हाँ मगर बे-हिसाब करते हैं

मुस्कुरा के मिरी तरफ़ कुछ लोग
मेरी आदत ख़राब करते हैं

वो ज़माने को साथ लाते हैं
हम अकेले हिसाब करते हैं

मत बिठाया करो उन्हें घर में
वो क़बीला ख़राब करते हैं

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari