baat ye meri bhi nazar mein hai
aaj se kiski tu khabar mein hai
mil gaeein manzilen sabhi ko kal
ik musaafir abhi safar mein hai
kya hua tere raaste hoon to
tu bhi to gair kii dagar mein hai
teri to aankh mein tha vo maatam
dekh le mere to nagar mein hai
ab to meri sukhan-vari ka raaz
andhbhakton kii bhi nazar mein hai
बात ये मेरी भी नज़र में है
आज से किसकी तू ख़बर में है
मिल गईं मंज़िलें सभी को कल
इक मुसाफ़िर अभी सफ़र में है
क्या हुआ तेरे रास्ते हूँ तो
तू भी तो ग़ैर की डगर में है
तेरी तो आँख में था वो मातम
देख ले मेरे तो नगर में है
अब तो मेरी सुख़न-वरी का राज़
अंधभक्तों की भी नज़र में है
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari