kursi churaane kii abhi aadat nahin gai
dair-o-haram ke naam siyaasat nahin gai
apni jagah pe theek hoon maaloom hai tujhe
par ungaliyaan uthaane kii aadat nahin gai
danga-fasaad ho raha hai is ada se par
aankhon mein muskuraane kii aadat nahin gai
sabko sikha gaya tha mohabbat agar khuda
phir kyun kabhi jahaan se nafrat nahin gai
sunwaai to kabhi bhi ho hogi daleel kii
munsif chala gaya hai adaalat nahin gai
main hi bicholiya raha qaazi bhi main raha
phir bhi mere makaan pe daawat nahin gai
कुर्सी चुराने की अभी आदत नहीं गई
दैर-ओ-हरम के नाम सियासत नहीं गई
अपनी जगह पे ठीक हूँ मालूम है तुझे
पर उँगलियाँ उठाने की आदत नहीं गई
दंगा-फ़साद हो रहा है इस अदा से पर
आँखों में मुस्कुराने की आदत नहीं गई
सबको सिखा गया था मोहब्बत अगर ख़ुदा
फिर क्यूँ कभी जहान से नफ़रत नहीं गई
सुनवाई तो कभी भी हो होगी दलील की
मुंसिफ़ चला गया है अदालत नहीं गई
मैं ही बिचौलिया रहा क़ाज़ी भी मैं रहा
फिर भी मिरे मकान पे दावत नहीं गई
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari