muhabbat is zamaane mein kitaabon ki kahaani hai | मुहब्बत इस ज़माने में किताबों की कहानी है

  - Prashant Kumar

muhabbat is zamaane mein kitaabon ki kahaani hai
are is daur ki leila na majnoon ki divaani hai

tumhaare ashk mere ashk mein bas fark hai itna
tumhaara ashk moti aur mera ashk paani hai

khuda ke vaaste maano bina parda ke mat niklo
tumhaara husn aise ek khatre ki nishaani hai

surin aatish kamar shola ye raanen to qayamat hain
kisi se pooch lo chahe badi qaatil jawaani hai

bujha saka nahin jab pyaas phir kis kaam ka hai ye
hato aise samundar ki mujhe hasti mitaani hai

ki tum har baat par toofaan ko hi dosh dete ho
tumhaara husn bhi to ek khatre ki nishaani hai

मुहब्बत इस ज़माने में किताबों की कहानी है
अरे इस दौर की लैला न मजनूँ की दिवानी है

तुम्हारे अश्क मेरे अश्क में बस फ़र्क है इतना
तुम्हारा अश्क मोती और मेरा अश्क पानी है

ख़ुदा के वास्ते मानो बिना पर्दा के मत निकलो
तुम्हारा हुस्न ऐसे एक ख़तरे की निशानी है

सुरीं आतिश कमर शोला ये रानें तो क़यामत हैं
किसी से पूछ लो चाहे बड़ी क़ातिल जवानी है

बुझा सकता नहीं जब प्यास फिर किस काम का है ये
हटो ऐसे समुंदर की मुझे हस्ती मिटानी है

कि तुम हर बात पर तूफ़ान को ही दोष देते हो
तुम्हारा हुस्न भी तो एक ख़तरे की निशानी है

  - Prashant Kumar

Wajood Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Wajood Shayari Shayari