mushkil se to zameen par utaara gaya hoon main | मुश्किल से तो ज़मीं पर उतारा गया हूँ मैं - Prashant Kumar

mushkil se to zameen par utaara gaya hoon main
suraj ke baad dhoondh ke maara gaya hoon main

itni sii der mein hi ki behosh ho gaye
bilkul abhi to karke ishaara gaya hoon main

roti khila raha tha faqeeron ko be-wajah
haan-haan khuda ke haath se maara gaya hoon main

aise hi tha kabaad mein uske pada hua
haathon se ik faqeer nikhaara gaya hoon main

aaya nahin kabhi bhi kisi kii zubaan par
kiske liye par aaj pukaara gaya hoon main

मुश्किल से तो ज़मीं पर उतारा गया हूँ मैं
सूरज के बाद ढूँढ के मारा गया हूँ मैं

इतनी सी देर में ही कि बेहोश हो गए
बिल्कुल अभी तो करके इशारा गया हूँ मैं

रोटी खिला रहा था फ़क़ीरों को बे-वजह
हाँ-हाँ ख़ुदा के हाथ से मारा गया हूँ मैं

ऐसे ही था कबाड़ में उसके पड़ा हुआ
हाथों से इक फ़क़ीर निखारा गया हूँ मैं

आया नहीं कभी भी किसी की ज़बान पर
किसके लिए पर आज पुकारा गया हूँ मैं

- Prashant Kumar
0 Likes

Muflisi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Muflisi Shayari Shayari