jaise-taise kha-kha kar hi sadkon pe guzaara karte hain | जैसे-तैसे खा-खा कर ही सड़कों पे गुज़ारा करते हैं

  - Prashant Kumar

jaise-taise kha-kha kar hi sadkon pe guzaara karte hain
ham thehre fakeeron ke bacche har dard gawara karte hain

kuchh log bhikaari kii izzat ka aise tamasha karte hain
do khote sikko ke badle tasveer utaara karte hain

dekhen to gharibon ke bacche imaan ke sacche hote hain
saanson ko girvi dhar-dhar ke ehsaan utaara karte hain

mashhoor hunar-mandi hai so to jannat se tah-khaane tak
sheeshe ke auzaron se ham patthar ko nikhaara karte hain

bas roti paani aur davaai sabke mulk mein muft mile
roz is darkhwaast kii khaatir ham saanson ka khasaara karte hain

rookhi-sookhi chatni jo bhi ho sab mil baant ke khaate hain
ziyaada ka lobh nahin hamko thode mein guzaara karte hain

bas dil ko tasalli dete hain phir haath hila dete hain sab
aate hi nahin hain dard mein ham sudhrenge ko pukaara karte hain

kuchh log aise bhi hote hain jo sadiyon bhookhe rahte hain
mehsoos nahin hone dete paani se guzaara karte hain

koii bhi dikat ho chahe vo gyaan sabhi ko dete hain
jab khud par baat aati hai to oopar ko nihaara karte hain

itaraaf hamaare gharaunde ke koii chingaari dik jaaye
to log alag hat-hat kar phir toofaan ko ishaara karte hain

na milega ham sa kaarigar chaaho to dhoondh lo duniya mein
sheesha patthar dil husn are har cheez sanwaara karte hain

जैसे-तैसे खा-खा कर ही सड़कों पे गुज़ारा करते हैं
हम ठहरे फ़कीरों के बच्चे हर दर्द गवारा करते हैं

कुछ लोग भिकारी की इज़्ज़त का ऐसे तमाशा करते हैं
दो खोटे सिक्कों के बदले तस्वीर उतारा करते हैं

देखें तो ग़रीबों के बच्चे ईमान के सच्चे होते हैं
साँसों को गिरवी धर-धर के एहसान उतारा करते हैं

मशहूर हुनर-मंदी है सो तो जन्नत से तह-ख़ाने तक
शीशे के औज़ारों से हम पत्थर को निखारा करते हैं

बस रोटी पानी और दवाई सबके मुल्क में मुफ़्त मिले
रोज़ इस दरख़्वास्त की ख़ातिर हम साँसों का ख़सारा करते हैं

रूखी-सूखी चटनी जो भी हो सब मिल बाँट के खाते हैं
ज़्यादा का लोभ नहीं हमको थोड़े में गुज़ारा करते हैं

बस दिल को तसल्ली देते हैं फिर हाथ हिला देते हैं सब
आते ही नहीं हैं दर्द में हम बहुतों को पुकारा करते हैं

कुछ लोग ऐसे भी होते हैं जो सदियों भूखे रहते हैं
महसूस नहीं होने देते पानी से गुज़ारा करते हैं

कोई भी दिक्कत हो चाहे वो ज्ञान सभी को देते हैं
जब ख़ुद पर बात आती है तो ऊपर को निहारा करते हैं

अतराफ़ हमारे घरौंदे के कोई चिंगारी दिख जाए
तो लोग अलग हट-हट कर फिर तूफ़ाँ को इशारा करते हैं

न मिलेगा हम सा कारीगर चाहो तो ढूँढ लो दुनिया में
शीशा पत्थर दिल हुस्न अरे हर चीज़ सँवारा करते हैं

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari