tum agar na bewafa the to mujhi se pyaar karte | तुम अगर न बेवफ़ा थे तो मुझी से प्यार करते

  - Prashant Kumar

tum agar na bewafa the to mujhi se pyaar karte
are shaam-e-umr tak bhi mera intizaar karte

na shab-e-firaq hoti na visaal-e-yaar karte
na nigaah vo milaate na ham e'tibaar karte

na khizaan chaman mein aati na sanam ujaad hota
ki ham is qadar koii dil na gul-e-bahaar karte

lagi baddua sabhi kii rahi den sab tumhaari
na dua kisi ko dete dil-e-be-qaraar karte

ki hisaab zindagi ka tire haath agar na hota
to gham-e-hayaat se ham koii rozgaar karte

sag-e-aastaan hi bankar ki nigahbaan rehta
tiri shaam aakhiri bhi are yaadgaar karte

tiri aastaan pe koii agar intizaam hota
to shab-e-judaai mein ham are jaan nisaar karte

तुम अगर न बेवफ़ा थे तो मुझी से प्यार करते
अरे शाम-ए-उम्र तक भी मिरा इंतिज़ार करते

न शब-ए-फ़िराक़ होती न विसाल-ए-यार करते
न निगाह वो मिलाते न हम ए'तिबार करते

न ख़िज़ाँ चमन में आती न सनम उजाड़ होता
कि हम इस क़दर कोई दिल न गुल-ए-बहार करते

लगी बद्दुआ सभी की रही देन सब तुम्हारी
न दुआ किसी को देते दिल-ए-बे-क़रार करते

कि हिसाब ज़िंदगी का तिरे हाथ अगर न होता
तो ग़म-ए-हयात से हम कोई रोज़गार करते

सग-ए-आस्ताँ ही बनकर कि निगाहबान रहता
तिरी शाम आख़िरी भी अरे यादगार करते

तिरी आस्ताँ पे कोई अगर इंतिज़ाम होता
तो शब-ए-जुदाई में हम अरे जाँ निसार करते

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari