mohabbaton mein tan badan ke laalchi rahe hain log | मुहब्बतों में तन बदन के लालची रहे हैं लोग - Prashant Kumar

mohabbaton mein tan badan ke laalchi rahe hain log
wafa ke baawajood be-wafa wahi rahe hain log

mohabbaton kii jang hai nahin kisi ka haath hai
ki khud hi zakham kar rahe hain aur sii rahe hain log

jhagad gaya tha koii saaqiya se may-kade mein so
bana bana ke neer ka hi jaam pee rahe hain log

agar banaaye jaam to tali pe chhod bhi dio
isi bachi kuchi sharaab se hi jee rahe hain log

tiri nazar mein jo nasha hai vo sharaab mein kahaan
tabhi to dekh may-kade mein ab na pee rahe hain log

main maanta hayaat do se chaar din kii hai prashaant
p chaar din kii zindagi mein kitna jee rahe hain log

मुहब्बतों में तन बदन के लालची रहे हैं लोग
वफ़ा के बावजूद बे-वफ़ा वही रहे हैं लोग

मुहब्बतों की जंग है नहीं किसी का हाथ है
कि ख़ुद ही जख़्म कर रहे हैं और सी रहे हैं लोग

झगड़ गया था कोई साक़िया से मय-कदे में सो
बना बना के नीर का ही जाम पी रहे हैं लोग

अगर बनाए जाम तो तली पे छोड़ भी दियो
इसी बची कुची शराब से ही जी रहे हैं लोग

तिरी नज़र में जो नशा है वो शराब में कहाँ
तभी तो देख मय-कदे में अब न पी रहे हैं लोग

मैं मानता हयात दो से चार दिन की है "प्रशांत"
प चार दिन की ज़िंदगी में कितना जी रहे हैं लोग

- Prashant Kumar
0 Likes

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari