usne hakeem ek taraf ko ugalegi diya
honton ko mere zakham ka marham bana diya
pyaasa bahut dinon se hoon jis shab pata chala
oopar ka hont mere labon se laga diya
meri hui thi baat faqat aftaab ki
usne to kahkashaan hi nazar se dhaa diya
ab mujhse ishq kaun karega jahaan mein
tumne har ek shakhs ko qaateel bata diya
bujhti nahin hai pyaas kisi may-kade mein ab
tumne to jaam-e-husn ka aadi bana diya
उसने हकीम एक तरफ़ को भगा दिया
होंटों को मेरे ज़ख़्म का मरहम बना दिया
प्यासा बहुत दिनों से हूँ जिस शब पता चला
ऊपर का होंट मेरे लबों से लगा दिया
मेरी हुई थी बात फ़क़त आफ़ताब की
उसने तो कहकशाँ ही नज़र से ढहा दिया
अब मुझसे इश्क़ कौन करेगा जहान में
तुमने हर एक शख़्स को क़ातिल बता दिया
बुझती नहीं है प्यास किसी मय-कदे में अब
तुमने तो जाम-ए-हुस्न का 'आदी बना दिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Nigaah Shayari Shayari