leta nahin hoon kuchh bhi kisi kii dukaan se | लेता नहीं हूँ कुछ भी किसी की दुकान से - Prashant Kumar

leta nahin hoon kuchh bhi kisi kii dukaan se
sunta raha hoon gaaliyaan phir bhi jahaan se

jaldi nahin utarte suhan-var meri tarah
aaya hoon teesri sadi mein aasmaan se

saste mein mil raha hai bada shaandaar dil
ik hi bacha hai lena ho le lo dukaan se

rote hue jo thak gaya phir kii hai khud-kushi
nikla nahin tha raat koii bhi makaan se

mujhko to unmein ek bhi insaan nahin dikha
aaseb hi to nikle tire khaandaan se

लेता नहीं हूँ कुछ भी किसी की दुकान से
सुनता रहा हूँ गालियाँ फिर भी जहान से

जल्दी नहीं उतरते सुख़न-वर मिरी तरह
आया हूँ तीसरी सदी में आसमान से

सस्ते में मिल रहा है बड़ा शानदार दिल
इक ही बचा है लेना हो ले लो दुकान से

रोते हुए जो थक गया फिर की है ख़ुद-कुशी
निकला नहीं था रात कोई भी मकान से

मुझको तो उनमें एक भी इंसाँ नहीं दिखा
आसेब ही तो निकले तिरे खानदान से

- Prashant Kumar
1 Like

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari