zamaane mein mohabbat ke bahut beemaar baithe hain | ज़माने में मोहब्बत के बहुत बीमार बैठे हैं

  - Prashant Kumar

zamaane mein mohabbat ke bahut beemaar baithe hain
sahi hota nahin hai ek sau taiyaar baithe hain

usi nukkad pe poore din bas aankhen senkte hain sab
na maano jaake dekho tum abhi do chaar baithe hain

gali mein taakte hi taakte guzri hai sabki umr
na maano dekh lo ghar aake sab bekar baithe hain

ki koii bechta hai aam koii sil raha chappal
ki tumse kaun kehta hai sabhi bekar baithe hain

karein to kya karein phir naukri milti nahin hamko
ab apne jurm ka hi leke kaarobaar baithe hain

suna hai chhokri aise nahin milti kisi ko bhi
isi chakkar mein saanson ka liye vyaapaar baithe hain

ज़माने में मोहब्बत के बहुत बीमार बैठे हैं
सही होता नहीं है एक सौ तैयार बैठे हैं

उसी नुक्कड़ पे पूरे दिन बस आँखें सेंकते हैं सब
न मानो जाके देखो तुम अभी दो चार बैठे हैं

गली में ताकते ही ताकते गुज़री है सबकी उम्र
न मानो देख लो घर आके सब बेकार बैठे हैं

कि कोई बेचता है आम कोई सिल रहा चप्पल
कि तुमसे कौन कहता है सभी बेकार बैठे हैं

करें तो क्या करें फिर नौकरी मिलती नहीं हमको
अब अपने जुर्म का ही लेके कारोबार बैठे हैं

सुना है छोकरी ऐसे नहीं मिलती किसी को भी
इसी चक्कर में साँसों का लिए व्यापार बैठे हैं

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari