pyaar se pehle baat karna
baad do chaar haath karna
ab ki jisse nazar mile tum
haath ke haath baat karna
aadmi hoon kifaayti main
ishq mein ehtiyaat karna
saath mein jo kiya hai sabke
ab chalo mere saath karna
faisla haq mein ho gaya bas
kal jama kaagazaat karna
jab kahin bhi nahin dikhe vo
phir bulaakar hi baat karna
प्यार से पहले बात करना
बाद दो चार हाथ करना
अब कि जिससे नज़र मिले तुम
हाथ के हाथ बात करना
आदमी हूँ किफ़ायती मैं
इश्क़ में एहतियात करना
साथ में जो किया है सबके
अब चलो मेरे साथ करना
फ़ैसला हक़ में हो गया बस
कल जमा काग़ज़ात करना
जब कहीं भी नहीं दिखे वो
फिर बुलाकर ही बात करना
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari