jeetne ke baad mein phir haarna bhi hai mujhe | जीतने के बाद में फिर हारना भी है मुझे - Prashant Kumar

jeetne ke baad mein phir haarna bhi hai mujhe
ho rahi hai jang apnon se pata bhi hai mujhe

dost hi dushman bane hain jang jeetoon ya nahin
kya ghalat hai kya sahi ye dekhna bhi hai mujhe

kya karoon taazi mile baasi mile khaana to hai
saath mein phere liye hain jhelnaa bhi hai mujhe

jang usoolon kii chale aur main hoon ismein na-samajh
jeetna bhi hai mujhe aur haarna bhi hai mujhe

mandiron mein masjidoon mein maangte shab din dua
aur qasam se kah rahe the maarna bhi hai mujhe

jang kiske beech hai ye dekhna bhi hai mujhe
jeetne se pehle hi phir haarna bhi hai mujhe

जीतने के बाद में फिर हारना भी है मुझे
हो रही है जंग अपनों से पता भी है मुझे

दोस्त ही दुश्मन बने हैं जंग जीतूँ या नहीं
क्या ग़लत है क्या सही ये देखना भी है मुझे

क्या करूँ ताज़ी मिले बासी मिले खाना तो है
साथ में फेरे लिए हैं झेलना भी है मुझे

जंग उसूलों की चले और मैं हूँ इसमें ना-समझ
जीतना भी है मुझे और हारना भी है मुझे

मंदिरों में मस्जिदों में माँगते शब दिन दुआ
और क़सम से कह रहे थे मारना भी है मुझे

जंग किसके बीच है ये देखना भी है मुझे
जीतने से पहले ही फिर हारना भी है मुझे

- Prashant Kumar
2 Likes

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari