dil jigar dono tujhe yaad kiya karte hain
ab to har kaam tire baad kiya karte hain
kya khabar gair ko kis baat se dukhta hai dil
sabko apne hi to barbaad kiya karte hain
is zamaane mein kuchh aise bhi to rahbar hain jo
jhopda loot ke aabaad kiya karte hain
dard karta hoon bayaan she'r-o-sukhan mein lekin
waah kar karke sab irshaad kiya karte hain
pooch le jaake khuda se bhi agar chahe to
raat din ham tiri fariyaad kiya karte hain
log aise hain yahan baad mein khaate khaana
pehle mehboob ko sab yaad kiya karte hain
haar jaata hoon yahi ek ada par sab kuchh
meri rote hue fariyaad kiya karte hain
दिल जिगर दोनों तुझे याद किया करते हैं
अब तो हर काम तिरे बाद किया करते हैं
क्या ख़बर ग़ैर को किस बात से दुखता है दिल
सबको अपने ही तो बर्बाद किया करते हैं
इस ज़माने में कुछ ऐसे भी तो रहबर हैं जो
झोपड़ा लूट के आबाद किया करते हैं
दर्द करता हूँ बयाँ शे'र-ओ-सुख़न में लेकिन
वाह कर करके सब इरशाद किया करते हैं
पूछ ले जाके ख़ुदा से भी अगर चाहे तो
रात दिन हम तिरी फ़रियाद किया करते हैं
लोग ऐसे हैं यहाँ बाद में खाते खाना
पहले महबूब को सब याद किया करते हैं
हार जाता हूँ यही एक अदा पर सब कुछ
मेरी रोते हुए फ़रियाद किया करते हैं
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari