hamne tumhaari yaad mein kya-kya nahin kiya
lekin kabhi kisi ka khasaara nahin kiya
mehnat ka kha raha hoon main roti ho ya ho gham
aise chura chura ke guzaara nahin kiya
le dekh mujhmein aib bata kaun sa nahin
lekin kisi ke saath mein dhokha nahin kiya
chingaariyaan jahaan bhi uthiin main bujha gaya
toofaan ko kabhi bhi ishaara nahin kiya
kisne kaha hai tujhse ki peeta nahin prashaant
so jaata hai kabhi bhi tamasha nahin kiya
हमने तुम्हारी याद में क्या-क्या नहीं किया
लेकिन कभी किसी का ख़सारा नहीं किया
मेहनत का खा रहा हूँ मैं रोटी हो या हो ग़म
ऐसे चुरा चुरा के गुज़ारा नहीं किया
ले देख मुझमें ऐब बता कौन सा नहीं
लेकिन किसी के साथ में धोखा नहीं किया
चिंगारियाँ जहाँ भी उठीं मैं बुझा गया
तूफ़ान को कभी भी इशारा नहीं किया
किसने कहा है तुझसे कि पीता नहीं 'प्रशांत'
सो जाता है कभी भी तमाशा नहीं किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Udasi Shayari Shayari