hamaare saath mein rote to haq kuchh to ada karte
agar aansu nahin aate khuda se iltijaa karte
zara pehle bata dete ki tum bhi gair ke ho ab
na dil par naam likhte ham na tumse yun wafa karte
chikungunya ka rogi tha taras phir bhi nahin aaya
agar kuchh bhi nahin tha to tum aanchal se hawa karte
khuda ke paas mein jaakar koi ehsaan kyun leta
diye the zakhm tumne hi tumheen aakar dava karte
agar pehle bata dete tumhaara haath hai ismein
tumhaara naam lene ki are phir ham khata karte
हमारे साथ में रोते तो हक़ कुछ तो अदा करते
अगर आँसू नहीं आते ख़ुदा से इल्तिजा करते
ज़रा पहले बता देते कि तुम भी ग़ैर के हो अब
न दिल पर नाम लिखते हम न तुमसे यूँ वफ़ा करते
चिकनगुनिया का रोगी था तरस फिर भी नहीं आया
अगर कुछ भी नहीं था तो तुम आँचल से हवा करते
ख़ुदा के पास में जाकर कोई एहसान क्यों लेता
दिए थे ज़ख़्म तुमने ही तुम्हीं आकर दवा करते
अगर पहले बता देते तुम्हारा हाथ है इसमें
तुम्हारा नाम लेने की अरे फिर हम ख़ता करते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Nazakat Shayari Shayari