pehle har jurm gina dete hain
phir muhabbat se saza dete hain
vo kabhi dil mein bula lete hain
to kabhi ghar se ugalegi dete hain
kya kahoon unki huzoori ka haal
be-sire jurm utha dete hain
pyaas lagti hai mujhe jis-dam to
hont se hont laga dete hain
unko maaloom hai sab kya hoon main
phir bhi khairaat luta dete hain
jab bhi aate hain meri baahon mein
khoob gadde ka maza dete hain
koi bhi jurm karoon main chahe
honton se hi vo saza dete hain
पहले हर जुर्म गिना देते हैं
फिर मुहब्बत से सज़ा देते हैं
वो कभी दिल में बुला लेते हैं
तो कभी घर से भगा देते हैं
क्या कहूँ उनकी हुज़ूरी का हाल
बे-सिरे जुर्म उठा देते हैं
प्यास लगती है मुझे जिस-दम तो
होंट से होंट लगा देते हैं
उनको मालूम है सब क्या हूँ मैं
फिर भी ख़ैरात लुटा देते हैं
जब भी आते हैं मिरी बाहों में
ख़ूब गद्दे का मज़ा देते हैं
कोई भी जुर्म करूँ मैं चाहे
होंटों से ही वो सज़ा देते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Mohabbat Shayari Shayari