lazzat-e-kaam-o-dahan mein tire chhar hote tak | लज़्ज़त-ए-काम-ओ-दहन में तिरे छर होते तक - Prashant Kumar

lazzat-e-kaam-o-dahan mein tire chhar hote tak
khun badal jaaye tira lakht-e-jigar hote tak

husn waalon ko mohabbat kii khabar jab hogi
sookh jaayega jigar jaan-o-jigar hote tak

chaand suraj hoon mukhaiyyar hoon khuda sa yaktaa
kaun aayega idhar dekhoon amar hote tak

raah se dard-fazaa aise guzaare koii
aankh lag jaaye meri usko khabar hote tak

tu athaarah kii hui bhi nahin hai aur tab tak
chale jaayenge mohabbat ka asar hote tak

qaid kar dil mein ki bardaasht nahin hota ab
are mar jaayenge ham peshe-e-nazar hote tak

yaar kaise karein mujrim ko ki mujrim saabit
mar na jaayen kahin munsif ko khabar hote tak

chashm-e-baatin hai agar to main bhi sang-e-maqtal
bujh hi jaayegi nazar mujhpe asar hote tak

jise aana hai lage haath abhi aa jaaye
ham rahenge hi nahin kal kii sehar hote tak

mat dikha naaf sambhaale se na sambhlega phir
khul hi jaayega kamarband asar hote tak

लज़्ज़त-ए-काम-ओ-दहन में तिरे छर होते तक
ख़ूँ बदल जाए तिरा लख़्त-ए-जिगर होते तक

हुस्न वालों को मोहब्बत की ख़बर जब होगी
सूख जाएगा जिगर जान-ओ-जिगर होते तक

चाँद सूरज हूँ मुख़य्यर हूँ ख़ुदा सा यकता
कौन आएगा इधर देखूँ अमर होते तक

राह से दर्द-फ़ज़ा ऐसे गुज़ारे कोई
आँख लग जाए मिरी उसको ख़बर होते तक

तू अठारह की हुई भी नहीं है और तब तक
चले जाएँगे मोहब्बत का असर होते तक

क़ैद कर दिल में कि बर्दाश्त नहीं होता अब
अरे मर जाएँगे हम पेश-ए-नज़र होते तक

यार कैसे करें मुजरिम को कि मुजरिम साबित
मर न जाएँ कहीं मुंसिफ़ को ख़बर होते तक

चश्म-ए-बातिन है अगर तो मैं भी संग-ए-मक़्तल
बुझ ही जाएगी नज़र मुझपे असर होते तक

जिसे आना है लगे हाथ अभी आ जाए
हम रहेंगे ही नहीं कल की सहर होते तक

मत दिखा नाफ़ सँभाले से न सँभलेगा फिर
खुल ही जाएगा कमरबंद असर होते तक

- Prashant Kumar
2 Likes

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari