kuchh log kal musheer kii baaton mein aa gaye
jo zahar ke gilaas mein sahaba pila gaye
is mulk ke wazeer hi kursi kii chaah mein
hindu ke saath murg-e-haram ko bhida gaye
vo jhopde mein kal koii khanjar liye hue
aaye to qatl-e-aam ko par gul khila gaye
aisa tire libaas mein kya hai chhupa hua
jo munsifon ke saath farishte bhi aa gaye
jinko watan se pyaar hai vo door baithe hain
jinko watan se bair tha vo jaan luta gaye
vo qaid kar liye gaye ahl-e-qalam sabhi
jis jiska jo khuloos qalam se suna gaye
hamse jinhen hai ishq vo to door baithe hain
hamse jinhen tha bair vo sab jaan luta gaye
itne kharab log hain tere dayaar mein
jalsa dikhaane laaye the maatam dikha gaye
कुछ लोग कल मुशीर की बातों में आ गए
जो ज़हर के गिलास में सहबा पिला गए
इस मुल्क के वज़ीर ही कुर्सी की चाह में
हिंदू के साथ मुर्ग़-ए-हरम को भिड़ा गए
वो झोपड़े में कल कोई ख़ंजर लिए हुए
आए तो क़त्ल-ए-आम को पर गुल खिला गए
ऐसा तिरे लिबास में क्या है छुपा हुआ
जो मुंसिफ़ों के साथ फ़रिश्ते भी आ गए
जिनको वतन से प्यार है वो दूर बैठे हैं
जिनको वतन से बैर था वो जाँ लुटा गए
वो क़ैद कर लिए गए अहल-ए-क़लम सभी
जिस जिसका जो ख़ुलूस क़लम से सुना गए
हमसे जिन्हें है इश्क़ वो तो दूर बैठे हैं
हमसे जिन्हें था बैर वो सब जाँ लुटा गए
इतने ख़राब लोग हैं तेरे दयार में
जलसा दिखाने लाए थे मातम दिखा गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Ulfat Shayari Shayari