aashirvaad kyun mujhe man se nahin diya
jo karna chahta tha vo karne nahin diya
ab kah rahe kiya hi nahin kuchh jahaan mein
baahar kabhi bhi ghar se nikalne nahin diya
maata-pitaa kii roz dua saath chal rahi
mushkil ghadi ko roo-b-roo tikne nahin diya
vo zahar cheenta to kabhi daar todta
maalik ne apne saamne marne nahin diya
shaakh-e-hunar pe jab bhi sukhun kii hawa chali
patta ghazal ka koii bhi hilne nahin diya
parhez agar nahin tha mohabbat se aapko
phir kyun sanam se raat mein milne nahin diya
ranjish agar nahin thi mohabbat se aapko
phir kyun jawaan dil ko dhadkane nahin diya
आशिर्वाद क्यूँ मुझे मन से नहीं दिया
जो करना चाहता था वो करने नहीं दिया
अब कह रहे किया ही नहीं कुछ जहान में
बाहर कभी भी घर से निकलने नहीं दिया
माता-पिता की रोज़ दुआ साथ चल रही
मुश्किल घड़ी को रू-ब-रू टिकने नहीं दिया
वो ज़हर छीनता तो कभी दार तोड़ता
मालिक ने अपने सामने मरने नहीं दिया
शाख़-ए-हुनर पे जब भी सुख़न की हवा चली
पत्ता ग़ज़ल का कोई भी हिलने नहीं दिया
परहेज़ अगर नहीं था मोहब्बत से आपको
फिर क्यूँ सनम से रात में मिलने नहीं दिया
रंजिश अगर नहीं थी मोहब्बत से आपको
फिर क्यूँ जवान दिल को धड़कने नहीं दिया
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari