safar mein ret to hogi safar mein phir bhi ho lena
meri aankhon ke paani se sab apni aankh dho lena
hazaaron ham-rahan ke beech ham jaane kahaan honge
tum aise mein jo mil jaaye usi ke saath ho lena
are dilbar ki baahon mein bada aaraam milta hai
agar mauka mile tum bhi zara si der so lena
main maati ka khilauna hoon agar jo toot bhi jaaun
to bacchon ki tarah tum bhi zara si der ro lena
muhabbat ishq ke maaron ka ye dastoor hota hai
bhari mehfil mein hans lena akela hon to ro lena
milenge saanp hi tumko sabhi ki aasteenon mein
kabhi sar dhar ke sona ho to in baahon mein so lena
सफ़र में रेत तो होगी सफ़र में फिर भी हो लेना
मिरी आँखों के पानी से सब अपनी आँख धो लेना
हज़ारों हम-रहाँ के बीच हम जाने कहाँ होंगे
तुम ऐसे में जो मिल जाए उसी के साथ हो लेना
अरे दिलबर की बाहों में बड़ा आराम मिलता है
अगर मौका मिले तुम भी ज़रा सी देर सो लेना
मैं माटी का खिलौना हूँ अगर जो टूट भी जाऊँ
तो बच्चों की तरह तुम भी ज़रा सी देर रो लेना
मुहब्बत इश्क़ के मारों का ये दस्तूर होता है
भरी महफ़िल में हँस लेना अकेले हों तो रो लेना
मिलेंगे साँप ही तुमको सभी की आस्तीनों में
कभी सर धर के सोना हो तो इन बाहों में सो लेना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Travel Shayari Shayari