khaak aalam kii jabeen pe laga ke chalte hain | ख़ाक 'आलम की जबीं पे लगा के चलते हैं

  - Prashant Kumar

khaak aalam kii jabeen pe laga ke chalte hain
poori duniya ko hi ham ghar bata ke chalte hain

chahe hindu ho musalmaan ho ya eesaai
khoon mein khoon sabhi ka mila ke chalte hain

qaum mazhab ye tire kaam ke honge shaayad
ham to insaan gale se laga ke chalte hain

ek hi sabki zameen ek hi hai sabka mulk
jo jo milta hai sabak ye sikha ke chalte hain

daar-ul-'ilm ye sansaar hai aur ham shaagird
chhote bachchon ko abhi se bata ke chalte hain

ungaliyaan qaum kii hampe na uthe aainda
ham to har khoon ko apna bata ke chalte hain

ham dabii jot rahe hain tiri kyun jhuk jaayen
ham zamaane se nigaahen mila ke chalte hain

ख़ाक 'आलम की जबीं पे लगा के चलते हैं
पूरी दुनिया को ही हम घर बता के चलते हैं

चाहे हिंदू हो मुसलमान हो या ईसाई
ख़ून में ख़ून सभी का मिला के चलते हैं

क़ौम मज़हब ये तिरे काम के होंगे शायद
हम तो इंसान गले से लगा के चलते हैं

एक ही सबकी ज़मीं एक ही है सबका मुल्क
जो जो मिलता है सबक ये सिखा के चलते हैं

दार-उल-'इल्म ये संसार है और हम शागिर्द
छोटे बच्चों को अभी से बता के चलते हैं

उँगलियाँ क़ौम की हमपे न उठें आइंदा
हम तो हर ख़ून को अपना बता के चलते हैं

हम दबी जोत रहे हैं तिरी क्यूँ झुक जाएँ
हम ज़माने से निगाहें मिला के चलते हैं

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari