abhi bhi hai mauqa bula le mujhe
meri jaan dil mein basaa le mujhe
tira haath bhi to hai is qatl mein
are tu kahin bhi chhupa le mujhe
are ek pal hai meri zeest mein
bachaana hai jaldi bacha le mujhe
are bistara kii zaroorat nahin
are paas mein hi sula le mujhe
dobaara nahin aaunga lautkar
abhi kuchh na bigda bula le mujhe
अभी भी है मौक़ा बुला ले मुझे
मिरी जान दिल में बसा ले मुझे
तिरा हाथ भी तो है इस क़त्ल में
अरे तू कहीं भी छुपा ले मुझे
अरे एक पल है मिरी ज़ीस्त में
बचाना है जल्दी बचा ले मुझे
अरे बिस्तरा की ज़रूरत नहीं
अरे पास में ही सुला ले मुझे
दुबारा नहीं आऊँगा लौटकर
अभी कुछ न बिगड़ा बुला ले मुझे
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari