kahin hai to nahin koii ki pehle sab mein dekha kar
phir uske baad mein mujh par gul-e-ahmar tu fenka kar
are o kaan ke jhumke tu apni had mein jhoomakar
mere mehboob kii gardan bina pooche na choomakar
badi badnaami hogi yaar teri bhi ki meri bhi
kisi ke saamne mujh par gul-e-ahmar na phenkar
agar teri gali ke log tujh par hi nazar rakhte
bura mat maanna unka meri galiyon mein ghoomakar
mohabbat karne ke mujhse jo sapne dekhta hai tu
kahaan main hoon kahaan tu hai ki pehle ye bhi sochakar
कहीं है तो नहीं कोई कि पहले सब में देखा कर
फिर उसके बाद में मुझ पर गुल-ए-अहमर तू फेंका कर
अरे ओ कान के झुमके तू अपनी हद में झूमाकर
मिरे महबूब की गर्दन बिना पूछे न चूमाकर
बड़ी बदनामी होगी यार तेरी भी कि मेरी भी
किसी के सामने मुझ पर गुल-ए-अहमर न फेंकाकर
अगर तेरी गली के लोग तुझ पर ही नज़र रखते
बुरा मत मानना उनका मिरी गलियों में घूमाकर
मोहब्बत करने के मुझसे जो सपने देखता है तू
कहाँ मैं हूँ कहाँ तू है कि पहले ये भी सोचाकर
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari