adbhar kabhi jaan bech dete hain
kabhi kafan ka hi samaan bech dete hain
gareeb parv pe bhookhe na soyen isliye to
khud apne aap ko bhagwaan bech dete hain
main qarz ada karoon kis kis ka ye parinde to
meri dava mein shabistaan bech dete hain
watan-parast agar jeb garm ho jaaye
har ek jang ka ailaan bech dete hain
kabhi-kabhi hamein bhi jaane kya ho jaata hai
tumhaari yaad mein daalaan bech dete hain
mujhe bachaane ke chakkar mein kya nahin karte
vo mere naam se insaan bech dete hain
वतन-फ़रोश कभी जान बेच देते हैं
कभी कफ़न का ही सामान बेच देते हैं
ग़रीब पर्व पे भूखे न सोएँ इसलिए तो
ख़ुद अपने आप को भगवान बेच देते हैं
मैं क़र्ज़ अदा करूँ किस किस का ये परिंदे तो
मिरी दवा में शबिस्तान बेच देते हैं
वतन-परस्त अगर जेब गर्म हो जाए
हर एक जंग का ऐलान बेच देते हैं
कभी-कभी हमें भी जाने क्या हो जाता है
तुम्हारी याद में दालान बेच देते हैं
मुझे बचाने के चक्कर में क्या नहीं करते
वो मेरे नाम से इंसान बेच देते हैं
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari