jaan saans bhi ghulaam hai | जाँ साँस भी ग़ुलाम है - Prashant Kumar

jaan saans bhi ghulaam hai
jeena wahan haraam hai

matlab ke har khuloos ko
bas door se salaam hai

jang-e-'azeem aaj ka
tere mere banaam hai

ab ka wazir-e-maaliya
haalaat ka ghulaam hai

mazhab ka aur qaum ka
ye mulk abhi ghulaam hai

boodha nahin hua hoon main
ye umr ka davaam hai

munsif kii har daleel mein
dekho mera hi naam hai

ab kuchh udhedbun nahin
bas kaam se hi kaam hai

akhbaar bhi to mulk mein
sarkaar ka ghulaam hai

जाँ साँस भी ग़ुलाम है
जीना वहाँ हराम है

मतलब के हर ख़ुलूस को
बस दूर से सलाम है

जंग-ए-'अज़ीम आज का
तेरे मिरे बनाम है

अब का वज़ीर-ए-मालिया
हालात का ग़ुलाम है

मज़हब का और क़ौम का
ये मुल्क अभी ग़ुलाम है

बूढ़ा नहीं हुआ हूँ मैं
ये उम्र का दवाम है

मुंसिफ़ की हर दलील में
देखो मिरा ही नाम है

अब कुछ उधेड़बुन नहीं
बस काम से ही काम है

अख़बार भी तो मुल्क में
सरकार का ग़ुलाम है

- Prashant Kumar
0 Likes

Haalaat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Haalaat Shayari Shayari