mauzoon kii tarah khulkar dadba se nikalti hain
ham jaam lagaate hain vo aag ugalati hain
angadaai tumhaari to qaaroon khazana hai
jab haath uthaate ho mohrein sii nikalti hain
aflaak zameen chhodo pariyaan bhi mulaazim hain
nehlaati to hain hi phir kapde bhi badalti hain
jis roz agar jaaun ghar haath pasaare main
phir khoob jhagadti hain mushkil se bahlati hain
ham baam-e-falak unko jis roz bulaate hain
to khoob sataati hain awaaz badalti hain
ham gham ke andhere mein jab ghar se nikalte hain
gardish kii tarah khushiyaan phir saath mein chalti hain
मौज़ों की तरह खुलकर दड़बा से निकलती हैं
हम जाम लगाते हैं वो आग उगलती हैं
अँगड़ाई तुम्हारी तो क़ारून ख़ज़ाना है
जब हाथ उठाते हो मोहरें सी निकलती हैं
अफ़्लाक ज़मीं छोड़ो परियाँ भी मुलाज़िम हैं
नहलाती तो हैं ही फिर कपड़े भी बदलती हैं
जिस रोज़ अगर जाऊँ घर हाथ पसारे मैं
फिर ख़ूब झगड़ती हैं मुश्किल से बहलती हैं
हम बाम-ए-फ़लक उनको जिस रोज़ बुलाते हैं
तो ख़ूब सताती हैं आवाज़ बदलती हैं
हम ग़म के अँधेरे में जब घर से निकलते हैं
गर्दिश की तरह ख़ुशियाँ फिर साथ में चलती हैं
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari