muhabbat cheez kya hai ye zamaane ko dikhaana hai
nahin hai tu mera dushman mera dushman zamaana hai
abhi to bas nihaara hai sanam ko paas mein jaakar
abhi to aankh se hote hue dil mein samaana hai
guzaara zindagi ka dekh lo bas ka nahin hai ab
meri to maut ka bhi kharch tumko hi uthaana hai
hujoom ae raahguzaar se bolo apne baare mein soche
wahi tanhaa hai duniya mein mere peeche zamaana hai
मुहब्बत चीज़ क्या है ये ज़माने को दिखाना है
नहीं है तू मिरा दुश्मन मिरा दुश्मन ज़माना है
अभी तो बस निहारा है सनम को पास में जाकर
अभी तो आँख से होते हुए दिल में समाना है
गुज़ारा ज़िंदगी का देख लो बस का नहीं है अब
मिरी तो मौत का भी ख़र्च तुमको ही उठाना है
हुजूम ए रहगुज़र से बोलो अपने बारे में सोचे
वही तन्हा है दुनिया में मिरे पीछे ज़माना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Mehboob Shayari Shayari