mere baad itna sataayega kaun
tujhe khidkiyon par bulaayega kaun
tira mulk hi tera dushman hua
tire sukh mein dukh mein ab aayega
shab ae hijr mein jab bhi roega tu
to ye dekhna hai ki aayega kaun
agar log insaan ban bhi gaye
nazar se nazar phir milaaega kaun
agar ham sudharne lage soch phir
tire naaz-nakhre uthaaega kaun
hamein apne ghar se bhagaana nahin
wagarana tumhein bhi bulaayega kaun
मिरे बाद इतना सताएगा कौन
तुझे खिड़कियों पर बुलाएगा कौन
तिरा मुल्क ही तेरा दुश्मन हुआ
तिरे सुख में दुख में अब आएगा
शब ए हिज्र में जब भी रोएगा तू
तो ये देखना है कि आएगा कौन
अगर लोग इंसान बन भी गए
नज़र से नज़र फिर मिलाएगा कौन
अगर हम सुधरने लगे सोच फिर
तिरे नाज़-नख़रे उठाएगा कौन
हमें अपने घर से भगाना नहीं
वगरना तुम्हें भी बुलाएगा कौन
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Chehra Shayari Shayari