risk ke naam se dar rahe ho
ishq ke kaam se dar rahe ho
jaante ho tumhein karna kya hai
phir bhi anjaam se dar rahe ho
dost bhi kah rahe ho mujhe tum
phir mere naam se dar rahe ho
daam munh khoolke maangte ho
phir bhi tum kaam se dar rahe ho
saath mein pee rahe har kisi ke
kyun mere jaam se dar rahe ho
jab kisi ko bulaate nahin kyun
daawat-e-aam se dar rahe ho
रिस्क के नाम से डर रहे हो
इश्क़ के काम से डर रहे हो
जानते हो तुम्हें करना क्या है
फिर भी अंजाम से डर रहे हो
दोस्त भी कह रहे हो मुझे तुम
फिर मिरे नाम से डर रहे हो
दाम मुँह खोलके माँगते हो
फिर भी तुम काम से डर रहे हो
साथ में पी रहे हर किसी के
क्यूँ मिरे जाम से डर रहे हो
जब किसी को बुलाते नहीं क्यूँ
दावत-ए-आम से डर रहे हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Dost Shayari Shayari