ishq ke zikr pe sab naam se mar jaate hain | इश्क़ के ज़िक्र पे सब नाम से मर जाते हैं

  - Prashant Kumar

ishq ke zikr pe sab naam se mar jaate hain
log paagal hain sar ae baam se mar jaate hain

top khanjar ye to bekar kii baatein hain sab
jinko marna ho vo aaraam se mar jaate hain

zahar kii baat na kar zahar main bhi peeta tha
aaj ke log tire jaam se mar jaate hain

tu bina kaam ke in galiyon mein mat aaya kar
ham bina kuchh kiye ilzaam se mar jaate hain

tu mera naam kitaabon pe bhi mat likkha kar
dekhne waale sab is naam se mar jaate hain

ye zaroori nahin ilzaam se hi marte hon
marne waale bina ilzaam se mar jaate hain

इश्क़ के ज़िक्र पे सब नाम से मर जाते हैं
लोग पागल हैं सर ए बाम से मर जाते हैं

तोप ख़ंजर ये तो बेकार की बातें हैं सब
जिनको मरना हो वो आराम से मर जाते हैं

ज़हर की बात न कर ज़हर मैं भी पीता था
आज के लोग तिरे जाम से मर जाते हैं

तू बिना काम के इन गलियों में मत आया कर
हम बिना कुछ किए इल्ज़ाम से मर जाते हैं

तू मिरा नाम किताबों पे भी मत लिक्खा कर
देखने वाले सब इस नाम से मर जाते हैं

ये ज़रूरी नहीं इल्ज़ाम से ही मरते हों
मरने वाले बिना इल्ज़ाम से मर जाते हैं

  - Prashant Kumar

Aashiq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Aashiq Shayari Shayari