bole baghair hamne fasana suna diya
jo bhi hua tha raat sabhi kuchh bata diya
waiz mein hi shumaar the ham bhi tiri tarah
vo to tiri nigaah ne qaateel bana diya
vaise ko tum bhi ghar se nikalte nahin sanam
aur aaj har gali mein hi danga kara diya
hamne naqaab uthaane ko tumse kaha tha bas
kya dekhne ko aaye magar kya dikha diya
uski tarah jahaan mein qabaa-doz hi nahin
thaile mein ik qameez ki kurta bana diya
बोले बग़ैर हमने फ़साना सुना दिया
जो भी हुआ था रात सभी कुछ बता दिया
वाइज़ में ही शुमार थे हम भी तिरी तरह
वो तो तिरी निगाह ने क़ातिल बना दिया
वैसे को तुम भी घर से निकलते नहीं सनम
और आज हर गली में ही दंगा करा दिया
हमने नक़ाब उठाने को तुमसे कहा था बस
क्या देखने को आए मगर क्या दिखा दिया
उसकी तरह जहाँ में क़बा-दोज़ ही नहीं
थैले में इक क़मीज़ कि कुर्ता बना दिया
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari