bewafaon se ki ummeed-e-wafa karte hain | बेवफ़ाओं से कि उम्मीद-ए-वफ़ा करते हैं

  - Prashant Kumar

bewafaon se ki ummeed-e-wafa karte hain
baa-wafaaon se sabhi log dagaa karte hain

doston ka bhi ki tum log bura karte ho
apne dushman ka bhi ham log bhala karte hain

ham na darte hain kisi se na hi dabte hain bas
haq sharaafat ka sharaafat se ada karte hain

ret mein dhoondh rahe ishq ke moti dekho
kaise deewane hain bachchon sii khata karte hain

baat kehta hoon kharee aur sabhi ke munh pe
isliye mujhse sabhi door raha karte hain

unche lafzon mein kabhi baat na karna koii
aise maa-baap naseebon se mila karte hain

jab mera zikr chale zor se mat bola kar
are deewaar se sab log suna karte hain

ab taraqqi meri bardaasht nahin hoti hai
isliye mujhse sabhi log jala karte hain

bade bekar hain ab log zamaane mein prashaant
saamne meri kahein peechhe dagaa karte hain

बेवफ़ाओं से कि उम्मीद-ए-वफ़ा करते हैं
बा-वफ़ाओं से सभी लोग दग़ा करते हैं

दोस्तों का भी कि तुम लोग बुरा करते हो
अपने दुश्मन का भी हम लोग भला करते हैं

हम न डरते हैं किसी से न ही दबते हैं बस
हक़ शराफ़त का शराफ़त से अदा करते हैं

रेत में ढूँढ रहे इश्क़ के मोती देखो
कैसे दीवाने हैं बच्चों सी ख़ता करते हैं

बात कहता हूँ खरी और सभी के मुँह पे
इसलिए मुझसे सभी दूर रहा करते हैं

ऊँचे लफ़्ज़ों में कभी बात न करना कोई
ऐसे माँ-बाप नसीबों से मिला करते हैं

जब मिरा ज़िक्र चले ज़ोर से मत बोला कर
अरे दीवार से सब लोग सुना करते हैं

अब तरक़्क़ी मिरी बर्दाश्त नहीं होती है
इसलिए मुझसे सभी लोग जला करते हैं

बड़े बेकार हैं अब लोग ज़माने में 'प्रशांत'
सामने मेरी कहें पीछे दग़ा करते हैं

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari