is may-kade ka ab kii saara hisaab kar de
ya phir mere lahu kii boonde sharaab kar de
apni kamar ko zalim parde mein rakh chhupa kar
aisa na ho kisi kii niyat kharab kar de
usse bichhad ke dekho ye haal ho gaya hai
bola hakeem se kal mujhko gulaab kar de
haan shauq ho gaya hai zakhamon ka ab hamein bhi
khanjar jahaan ho marzi tu be-hisaab kar de
ab kyun ufuk par aise ungli utha raha hai
maine kaha tha mujhko tu aftaab kar de
इस मय-कदे का अब की सारा हिसाब कर दे
या फिर मिरे लहू की बूँदे शराब कर दे
अपनी कमर को ज़ालिम परदे में रख छुपा कर
ऐसा न हो किसी की नीयत ख़राब कर दे
उससे बिछड़ के देखो ये हाल हो गया है
बोला हकीम से कल मुझको गुलाब कर दे
हाँ शौक़ हो गया है ज़ख़्मों का अब हमें भी
ख़ंजर जहाँ हो मर्ज़ी तू बे-हिसाब कर दे
अब क्यूँ उफ़ुक पर ऐसे उँगली उठा रहा है
मैंने कहा था मुझको तू आफ़ताब कर दे
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari