aankhon se hoke dil mein samaaye ye sochte
khud hi wafa kii aag lagaaye ye sochte
vo sochta hai hamse bhi roya na jaayega
ham baagh-e-khuld doob na jaaye ye sochte
sabke makaan ujaadne ko bolta hai ham
vo ghar faqeer ka bhi basaaye ye sochte
vo hai nigaah sabse milaane kii taak mein
vo har nazar humeen se milaaye ye sochte
jaane ko kuchh nahin hai chale jaayenge magar
khud hi pakad ke haath bulaaye ye sochte
आँखों से होके दिल में समाए ये सोचते
ख़ुद ही वफ़ा की आग लगाए ये सोचते
वो सोचता है हमसे भी रोया न जाएगा
हम बाग़-ए-ख़ुल्द डूब न जाए ये सोचते
सबके मकान उजाड़ने को बोलता है हम
वो घर फ़क़ीर का भी बसाए ये सोचते
वो है निगाह सबसे मिलाने की ताक में
वो हर नज़र हमीं से मिलाए ये सोचते
जाने को कुछ नहीं है चले जाएँगे मगर
ख़ुद ही पकड़ के हाथ बुलाए ये सोचते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Aag Shayari Shayari