yaar insaan hain bhagwaan se dar jaate hain | यार इंसान हैं भगवान से डर जाते हैं

  - Prashant Kumar

yaar insaan hain bhagwaan se dar jaate hain
vo khuda hoke bhi insaan se dar jaate hain

aashiqi ka koii bhi zikr na karna hamse
aashiqi ke to ham unwaan se dar jaate hain

tum kahaan jee rahe ho kal ka zamaana chhodo
bhoot bhi aaj ke insaan se dar jaate hain

jo kisi kii bhi hukoomat se nahin darte the
ab mere gaav ke deewaan se dar jaate hain

bhoot kii preet kii shaitaan kii baatein chhodo
jinko darna ho vo naadaan se dar jaate hain

यार इंसान हैं भगवान से डर जाते हैं
वो ख़ुदा होके भी इंसान से डर जाते हैं

आशिक़ी का कोई भी ज़िक्र न करना हमसे
आशिक़ी के तो हम 'उनवान से डर जाते हैं

तुम कहाँ जी रहे हो कल का ज़माना छोड़ो
भूत भी आज के इंसान से डर जाते हैं

जो किसी की भी हुकूमत से नहीं डरते थे
अब मिरे गाँव के दीवान से डर जाते हैं

भूत की प्रेत की शैतान की बातें छोड़ो
जिनको डरना हो वो नादान से डर जाते हैं

  - Prashant Kumar

Terrorism Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Terrorism Shayari Shayari