dariya mein mohabbat ke jo paar nahin hote | दरिया में मोहब्बत के जो पार नहीं होते - Prashant Kumar

dariya mein mohabbat ke jo paar nahin hote
vo log mohabbat ke haqdaar nahin hote

jinko bhi mohabbat kii maaloom dava hoti
vo log mohabbat mein beemaar nahin hote

hindu ko musalmaan ko seene se laga len jo
vo log watan ke to gaddaar nahin hote

jo khud kii zameen kar den taqseem ghareebon mein
vo log meri maano khoon-khwaar nahin hote

unse bhi kabhi poocho kya cheez hai ye jeevan
vo jinke kahin par bhi ghar-baar nahin hote

duniya hi badal dete jo log iraadon se
unke kabhi maamooli kirdaar nahin hote

saansen bhi puraani jo rakhte hain marammat se
unke kabhi bhi khuttal ouzaar nahin hote

nazzara wahi asli jo saamne se hota
peechhe se kisi ke bhi deedaar nahin hote

दरिया में मोहब्बत के जो पार नहीं होते
वो लोग मोहब्बत के हक़दार नहीं होते

जिनको भी मोहब्बत की मालूम दवा होती
वो लोग मोहब्बत में बीमार नहीं होते

हिंदू को मुसलमाँ को सीने से लगा लें जो
वो लोग वतन के तो ग़द्दार नहीं होते

जो ख़ुद की ज़मीं कर दें तक़सीम ग़रीबों में
वो लोग मिरी मानो ख़ूँ-ख़्वार नहीं होते

उनसे भी कभी पूछो क्या चीज़ है ये जीवन
वो जिनके कहीं पर भी घर-बार नहीं होते

दुनिया ही बदल देते जो लोग इरादों से
उनके कभी मामूली किरदार नहीं होते

साँसें भी पुरानी जो रखते हैं मरम्मत से
उनके कभी भी खुट्टल औज़ार नहीं होते

नज़्ज़ारा वही असली जो सामने से होता
पीछे से किसी के भी दीदार नहीं होते

- Prashant Kumar
0 Likes

Irada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Irada Shayari Shayari