mujhse to tiri khaali bas auqaat badi hai
par poore ilaaqe mein meri baat badi hai
dekho to chalo thehro mere jhopde mein ab
aise mein kahaan jaaoge barsaat badi hai
zid pe agar aa jaaye to chhode na kisi ko
ab door raho usse vo badzaat badi hai
qad par na kabhi itna gumaan karna meri jaan
is husn se bailon kii mere naath badi hai
ab waqt zara leke mere paas na aana
meri tire vaade se mulaqaat badi hai
मुझसे तो तिरी ख़ाली बस औक़ात बड़ी है
पर पूरे इलाक़े में मिरी बात बड़ी है
देखो तो चलो ठहरो मिरे झोपड़े में अब
ऐसे में कहाँ जाओगे बरसात बड़ी है
ज़िद पे अगर आ जाए तो छोड़े न किसी को
अब दूर रहो उससे वो बदज़ात बड़ी है
क़द पर न कभी इतना गुमाँ करना मिरी जाँ
इस हुस्न से बैलों की मिरे नाथ बड़ी है
अब वक़्त ज़रा लेके मिरे पास न आना
मेरी तिरे वादे से मुलाक़ात बड़ी है
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari