mere mehboob mohabbat ke zamaane maange
wahi beete hue lamhon ke khazaane maange
nayi cheezein mein kashish ab kahaan pehle jaisi
ab ke mautein bhi badan khaas purane maange
baat aayi hai mohabbat mein nishaani kii so
mere mehboob mere zakhm suhaane maange
pehle saazish rachen ik pal mein mitaane kii sab
phir yahi log mere saath zamaane maange
are ham soch rahe pyaar hua hai lekin
vo qalam maange to likhne ke bahaane maange
vo agar saath nibhaane kii qasam khaayein to
haath par haath rakhen aur zamaane maange
yahi kahte hain sada ishq nahin hai tujhse
phir bhi tasveer meri karke bahaane maange
ham yahi soch rahe hain ki mohabbat hui hai
aur vo phool ki gajre ke bahaane maange
मिरे महबूब मोहब्बत के ज़माने माँगें
वही बीते हुए लम्हों के ख़ज़ाने माँगें
नई चीज़ों में कशिश अब कहाँ पहले जैसी
अब के मौतें भी बदन ख़ास पुराने माँगें
बात आई है मोहब्बत में निशानी की सो
मिरे महबूब मिरे ज़ख़्म सुहाने माँगें
पहले साज़िश रचें इक पल में मिटाने की सब
फिर यही लोग मिरे साथ ज़माने माँगें
अरे हम सोच रहे प्यार हुआ है लेकिन
वो क़लम माँगें तो लिखने के बहाने माँगें
वो अगर साथ निभाने की क़सम खाएँ तो
हाथ पर हाथ रखें और ज़माने माँगें
यही कहते हैं सदा इश्क़ नहीं है तुझसे
फिर भी तस्वीर मिरी करके बहाने माँगें
हम यही सोच रहे हैं कि मोहब्बत हुई है
और वो फूल कि गजरे के बहाने माँगें
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari