hamsafar the to safar mein rahte
tum mere saath dagar mein rahte
jab muhabbat ho gai khilwat se
be-wajah tere gadar mein rahte
khoobsurat the to pehle kahte
dil-jigar koi se ghar mein rahte
isse ya usse mujhe kya lena
yaar tum meri khabar mein rahte
jab ham achhe nahin lagte tumko
to zamaane ki nazar mein rahte
हमसफ़र थे तो सफ़र में रहते
तुम मिरे साथ डगर में रहते
जब मुहब्बत हो गई ख़ल्वत से
बे-वजह तेरे गदर में रहते
ख़ूबसूरत थे तो पहले कहते
दिल-जिगर कोई से घर में रहते
इससे या उससे मुझे क्या लेना
यार तुम मेरी ख़बर में रहते
जब हम अच्छे नहीं लगते तुमको
तो ज़माने की नज़र में रहते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Nazar Shayari Shayari