mujhko kisi ne khud ke hawaale nahin kiya
tumne bhi mujhse pyaar sahi se nahin kiya
aaya hai jab se mujhko pareshaan kar raha
zalim ne ek raat bhi sone nahin diya
phir naujawaan daar pe latkega kyun nahin
jo karna chahta tha so karne nahin diya
khwaahish har ek shakhs kii khone kii thi mujhe
mehboob ne kabhi bhi ye hone nahin diya
maata-pitaa pe hai meri qurbaan zindagi
bachpan se aaj tak kabhi rone nahin diya
मुझको किसी ने ख़ुद के हवाले नहीं किया
तुमने भी मुझसे प्यार सही से नहीं किया
आया है जब से मुझको परेशान कर रहा
ज़ालिम ने एक रात भी सोने नहीं दिया
फिर नौजवान दार पे लटकेगा क्यूँ नहीं
जो करना चाहता था सो करने नहीं दिया
ख़्वाहिश हर एक शख़्स की खोने की थी मुझे
महबूब ने कभी भी ये होने नहीं दिया
माता-पिता पे है मिरी क़ुर्बान ज़िंदगी
बचपन से आज तक कभी रोने नहीं दिया
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari