sab log tiri bazm ke behkaaye hue hain
lekin ye mere naam se ghabraaye hue hain
chappal bhi pahan paanv mein aur odh dupatta
aise na ja mehmaan udhar aaye hue hain
maasoom hain naadaan hain ye log gali ke
phoolon kii tarah dekh le sharmaae hue hain
ab khair mohabbat ka koii naam na lega
sab chot mohabbat mein idhar khaaye hue hain
aasaan nahin yaar mohabbat se kinaara
har aankh mein sailaab are chhaaye hue hain
सब लोग तिरी बज़्म के बहकाए हुए हैं
लेकिन ये मिरे नाम से घबराए हुए हैं
चप्पल भी पहन पाँव में और ओढ़ दुपट्टा
ऐसे न जा मेहमान उधर आए हुए हैं
मासूम हैं नादान हैं ये लोग गली के
फूलों की तरह देख ले शरमाए हुए हैं
अब ख़ैर मोहब्बत का कोई नाम न लेगा
सब चोट मोहब्बत में इधर खाए हुए हैं
आसान नहीं यार मोहब्बत से किनारा
हर आँख में सैलाब अरे छाए हुए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Love Shayari Shayari