mat kar hamaari fikr ab aisa hai dilruba | मत कर हमारी फ़िक्र अब ऐसा है दिलरुबा

  - Prashant Kumar

mat kar hamaari fikr ab aisa hai dilruba
ham ja rahe hain chhod ke shahr-e-fatan tira

main is qadar luta hoon ki raste par aa gaya
ye waqt-e-sakht aaj sabhi kuchh sikha gaya

mujhko bukhaar aa gaya tha raat mein magar
maa ne nazar utaar ke sab theek kar diya

keval kitaab maangne aayi thi dilruba
tumne hamaara naam hi mehboob rakh liya

sab log pee rahe hain udhar nafratoin ke jaam
hamko mila hai pyaar se zehraab pee liya

maine nahin banaya kisi ka mazaak par
mera mazaaq aaj sabhi ne bana liya

maine to zahar kha liya ismein main kya karoon
jab har faqeer mere liye haath utha gaya

meri khata hai ismein main chalta na dekh kar
patthar ne raaston ke haq apna ada kiya

maine kabhi kisi ka dukhaaya nahin hai dil
mera to jaanboojh ke sab ne dukha liya

मत कर हमारी फ़िक्र अब ऐसा है दिलरुबा
हम जा रहे हैं छोड़ के शहर-ए-फ़तन तिरा

मैं इस क़दर लुटा हूँ कि रस्ते पर आ गया
ये वक़्त-ए-सख़्त आज सभी कुछ सिखा गया

मुझको बुख़ार आ गया था रात में मगर
माँ ने नज़र उतार के सब ठीक कर दिया

केवल किताब माँगने आई थी दिलरुबा
तुमने हमारा नाम ही महबूब रख लिया

सब लोग पी रहे हैं उधर नफ़रतों के जाम
हमको मिला है प्यार से ज़हराब पी लिया

मैंने नहीं बनाया किसी का मज़ाक़ पर
मेरा मज़ाक़ आज सभी ने बना लिया

मैंने तो ज़हर खा लिया इसमें मैं क्या करूँ
जब हर फ़क़ीर मेरे लिए हाथ उठा गया

मेरी ख़ता है इसमें मैं चलता न देख कर
पत्थर ने रास्तों के हक़ अपना अदा किया

मैंने कभी किसी का दुखाया नहीं है दिल
मेरा तो जानबूझ के सब ने दुखा लिया

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari