der tak khoob tiri shakl nihaari jaaye
chaand par baad mein tasveer utaari jaaye
sab chidhaate hain use main na miloonga kahkar
mere mehboob kii taqdeer sanwaari jaaye
yaad aaya hai koii kaam zaroori mujhko
tum chale jaana wahan tak jo sawaari jaaye
bastiyaan ek taraf ek taraf hai shamshaan
chalo aise mein yahin raat guzaari jaaye
jis taraf tum ho usi samt milenge ham bhi
be-wajah khuld se kompase utaari jaaye
muskuraate hue jab koii haseena guzare
aisa lagta hai khuda jaan hamaari jaaye
kya mulavvas bhi nikalta hai sharifa hokar
phir to chaukhat pe koii raat guzaari jaaye
देर तक ख़ूब तिरी शक्ल निहारी जाए
चाँद पर बाद में तस्वीर उतारी जाए
सब चिढ़ाते हैं उसे मैं न मिलूँगा कहकर
मिरे महबूब की तक़दीर सँवारी जाए
याद आया है कोई काम ज़रूरी मुझको
तुम चले जाना वहाँ तक जो सवारी जाए
बस्तियाँ एक तरफ़ एक तरफ़ है शमशान
चलो ऐसे में यहीं रात गुज़ारी जाए
जिस तरफ़ तुम हो उसी सम्त मिलेंगे हम भी
बे-वजह ख़ुल्द से कम्पास उतारी जाए
मुस्कुराते हुए जब कोई हसीना गुज़रे
ऐसा लगता है ख़ुदा जान हमारी जाए
क्या मुलव्वस भी निकलता है शरीफ़ा होकर
फिर तो चौखट पे कोई रात गुज़ारी जाए
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari